Ye manzilen ye raaste,
Meri har dua tere waaste,
Ye sakoon or ye Qaraar bhi,
meri dosti tere waaste,
Kabi gham na tere Qareeb ho,
Tujhe har khushi naseeb ho,
Meri har dua tere waaste.
Meri har dua tere waaste,
Ye sakoon or ye Qaraar bhi,
meri dosti tere waaste,
Kabi gham na tere Qareeb ho,
Tujhe har khushi naseeb ho,
Meri har dua tere waaste.
Siddat Se Chaha H Jise,
Uski Mohabbat Ki Tammana Ki Hai
Ae Kash Hr Lahme Pe Koi Aamin Kahe,
kyunki Hr Sans Ne Use Pane Ki Dua Ki Hai.
Mera Beta Na Jane Kis Haal Mein Hoga,
Sada Salamat Rahe Wo Duniya Jis Mein Wo Basta Hai,
Hum Teri Khatir Saaari Duniya Ko Dua Dete Hain,
kya tum meri khatir kabhi khud ko bhi rula lete ho.
hindi translation :-
मेरा बेटा ना जाने किस हाल में होगा,
सदा सलामत रहे वो दुनिया जिस में वो बस्ता है,
हम तेरी खातिर सारी दुनिया को दुआ देते हैं,
क्या तुम मेरी खातिर कभी खुद को भी रुला लेते हो.
Nas Nas me Uska Pyar Bahta Hai,
Har Pal Khayalo me Uska Chehra Rehta Hai,
Meri Dua Le Aayegi Use Paas Mere,
Mera Girta Har Ek Aansu yahi Kehta Hai.
Good Night Dua Shayari
har jazbaat ko zubaan nahi milti,
har arzu ko dua nahi milti,
haste raho to duniya rehti hai saath,
aashuo ko to aakho mai bhi panah nahi milti.
Dard And Dua Combo SmS
Mujhse n pucho mere deewane ki fitrat,
ye har dard ko sene se laga leta hai,
qaatil se bhala koi shikayat kya kare,
apne qaatil ki ye ar roj dua karta hai.
Islamic Dua Poetry
Khawab Sach Ho To Har Mushkil cheez Bhi Mil he Jati Hai,
Yad Bhi Aksar Ek Tasveer Mai Badal Jati Hai,
Kuch Mango Agar Tu Mango Sachey Dil Se,
Ek Dua Se Aksar Logo ki Takdeer Badal Jati Hai.
Dua SmS On Khuda
Ye bhi Ek Dua ha mere Khuda se,
Kisi ka Dil na dukhe meri waja se,
Aye Khuda kr de kuch aisi inayat mujh par,
Ki sirf Khushiyan hi mile sab ko meri waja se.
No comments:
Post a Comment