dangi

Chalo Achha Hua Kaam Aa Gayi Deewangi Apni, 
Varna Hum Zamane Bhar Ko Samjhane Kahan Jate.





Kabhi Dhoop De Kabhi Badliyan, 
Dilo-Jaan Se Dono Kabool Hain, 
Magar Uss Nagar Mein Na Qaid Kar, 
Jahan Zindagi Ki Hawa Na Ho.





                               Muskurahat Ka Koi Mol Nahi Hota, 
                                 Kuchh Rishton Ka Koi Tol Nahi Hota, 
                          Log To Mil Jate Hain Har Mod Par Lekin, 
                            Har Koi Aapki Tarah Anmol Nahi Hota.




Dosti Dard Nahi Khushion Ki Saugat Hai, 
Kisi Apne Ka Zindgi Bhar Ka Saath Hai, 
Yeh To Dilon Ka Wo Khoobsurat Ehsaas Hai, 
Jiske Dam Se Roshan Ye Saari Kaaynaat Hai.
Zindgi Ke Toofano Ka Sahil Hai Dosti, 
Dil Ke Armano Ki Manzil Hai Dosti, 
Zindagi Bhi Ban Jayegi Apni To Jannat, 
Agar Maut Aane Tak Saath De Dosti.




Honthho Par Ulfat Ke Fasaane Nahi Aate, 
Jo Beet Gaye Phir Wo Zamane Nahi Aate, 
Dost Hi Hote Hain Doston Ke Humdard, 
Koi Farishte Yeha Saath Nibhane Nahi Aate. 



DuniyaDari Mein Hum Thode Kachche Hain, 
Par Dosti Ke Maamle Me Sachche Hain, 
Humari Sachchai Bas Iss Baat Par Kayam Hai, 
Ke Humare Dost Humse Bhi Achchhe Hain.


  
Jab Talluk Hi Nahi To Haal Kya Puchhte Ho, Main Jaisa Bhi Hun... Bas Tum Sa Nahi Hun. 

Zindgi Ke Kisi Mod Par, 
Agar Tum Laut Bhi Aaye To Kya Hai, 
Wo Lamhaat... Wo Jazbaat... 
Wo Andaaz To Na Ab Lautenge Kabhi. 

Aur Shayad... 
Meri Tumhare Liye Tadap Bhi. 
 
 
 
 




                                                               Mahesh Dangi












No comments:

Post a Comment

MK

भारत में अपाचे और F-16 बनाएंगे टाटा, बोले "अपने सैनिको को सबसे बेस्ट हथियार देना चाहता हूँ" भारत में रक्षा प्रौद्योगिकी के वि...